اردو हिंदी
Main dariya-e-qanaat-ashna hun | Shaahi Shayari
main dariya-e-qanaat-ashna hun

Ghazal

Main dariya-e-qanaat-ashna hun

Meer Kallu Arsh

;

main dariya-e-qanaat-ashna hun
main mauj-e-nishan-e-boriya hun

main aashiq-e-chashm-e-surma-sa hun
gar KHak bhi hun to tutiya hun

tifli hi se wahshat-ashna hun
main us daman-e-dasht mein pala hun

dekhe jo mujhe jahan ko dekhe
main aaina-e-jahan-numa hun

chal sakte nahin jo bagh tak bhi
taus-sifat adu-e-pa hun

diwana jo hun to hun main KHamosh
zanjir jo hun to be-sada hun

ta-gor bhi sifat se na pahunchun
bil-farz agar hazar pa hun

sohbat ho barar kis tarah yar
tu shah hai aur main gada hun

har sher mein zulf ki hai tarif
is bahr mein mauj-ashna hun

sunta nahin ek but mera haal
fariyaadi tujh se ai KHuda hun

kahti hai zaban-e-haal se maut
main dard-e-firaq ki dawa hun

kahti hai ye ruh tan se har-dam
tu KHak jo ho to main dawa hun

ye tausan-e-umr garm-raftar
kahta hai main ab charagh-pa hun

ai 'arsh' ziyarat ab karunga
main rah-raw-e-dasht-e-karbala hun