اردو हिंदी
Main Dara nahin main daba nahin mein jhuka nahin main bika nahin | Shaahi Shayari
main Dara nahin main daba nahin mein jhuka nahin main bika nahin

Ghazal

Main Dara nahin main daba nahin mein jhuka nahin main bika nahin

Khalid Alig

;

main Dara nahin main daba nahin mein jhuka nahin main bika nahin
magar ahl-e-bazm mein koi bhi to ada-shanas-e-wafa nahin

mere jism-o-jaan pe usi ke sare azab sare sawab hain
wahi ek harf-e-KHud-agahi ki abhi jo main ne kaha nahin

na wo harf-o-lafz ki dawari na wo zikr o fikr-e-qalandari
jo mere lahu se likhi thi ye wo qarardad-e-wafa nahin

abhi husn o ishq mein fasle adam-e'timad ke hain wahi
unhen aitabar-e-wafa nahin mujhe aitabar-e-jafa nahin

wo jo ek baat thi guftani wahi ek baat shunidni
jise main ne tum se kaha nahin jise tum ne mujh se suna nahin

main salib-e-waqt pe kab se hun mujhe ab to is se utar lo
ki saza bhi kaT chuka hun main mera faisla bhi hua nahin

mera shahr mujh pe gawah hai ki har ek ahd-e-siyah mein
wo charagh-e-rah-e-wafa hun main ki jala to jal ke bujha nahin