اردو हिंदी
Main Dar raha hun har ek imtihan se pahle | Shaahi Shayari
main Dar raha hun har ek imtihan se pahle

Ghazal

Main Dar raha hun har ek imtihan se pahle

Aanand Saroop Anjum

;

main Dar raha hun har ek imtihan se pahle
mere paron ko hua kya uDan se pahle

mere nasib mein raston ki dhul likkhi thi
na mil saki mujhe manzil takan se pahle

ye kaun shaKHs tha chaalak kis qadar nikla
ki baat chheD gaya darmiyan se pahle

main us ke dard ka darman to jaanta tha magar
wo kuchh to bolta apni zaban se pahle

tum us ke ghar ki taraf chal paDe to ho lekin
koi paDaw nahin aasman se pahle

khaDa hun aaj main 'anjum' yaqin ki sarhad par
ajib karb mein gum tha guman se pahle