main chob-e-KHushk sahi waqt ka hun sahra mein
sahar pukarti mujh ko to sath chalta main
mere wajud mein zinda sadi ka sannaTa
tah-e-zamin hun koi bolta sa dariya main
har ek zawiya mere lahu ke nam se hai
bata raha hun nai wusaton ko rasta main
bahut se log to jite hi ji ke marte hain
bas ek shaKHs ki marta hun roz tanha main
tu aaina hai teri zat ajnabi to nahin
qarib aa tujhe apna dikhaun chehra main
ye is takalluf-e-beja ki kya zarurat hai
ki ek mishal-e-jaan tha KHushi se jalta main
na jaane kaun tha dasht-e-azal-abad mein 'nisar'
jo apne aap se milta to kyun bichhaDta main

Ghazal
Main chob-e-KHushk sahi waqt ka hun sahra mein
Rasheed Nisar