main chhu sakun tujhe mera KHayal-e-KHam hai kya
tera badan koi shamshir-e-be-niyam hai kya
meri jagah koi aaina rakh liya hota
na jaane tere tamashe mein mera kaam hai kya
asir-e-KHak mujhe kar ke tu nihaal sahi
nigah Dal ke to dekh zer-e-dam hai kya
ye Dubti hui kya shai hai teri aankhon mein
tere labon pe jo raushan hai us ka nam hai kya
mujhe bata main teri KHak ab kahan rakh dun
ki 'zeb' arz-o-sama mein tera maqam hai kya
Ghazal
Main chhu sakun tujhe mera KHayal-e-KHam hai kya
Zeb Ghauri