main chanchal iThlati nadiya bhanwar se kab tak bachti main
lahr lahr mein Dub ke ubhri ubhar ubhar ke Dubi main
main koi patthar to nahin thi mujh ko chhukar bhi dekha
barf ko thoDi aanch to milti aap hi aap pighalti main
ang laga kar bedardi ne aag si bhar di nas nas mein
TuT gae sab laj ke ghunghru aisa jhum ke nachi main
prem ke bandhan mein bandh kar sajan itni duri kyun
tum bhi pyase pyase baadal pyasi pyasi dharti main
aane wale dwar pe pahron dastak de kar lauT gae
hath mein le kar paDhne baiThi jab piritam ki chiTThi main
sannaTe mein jab jab chhanki bairi paDosan ki pael
jaane wale yaad mein teri raat raat-bhar jagi main
kya andha wishwas tha ai 'nasrin' wo mujh ko mana lega
har bandhan se chhuT gaya wo hae kyun us se ruThi main
Ghazal
Main chanchal iThlati nadiya bhanwar se kab tak bachti main
Nasreen Naqqash