main chahta hun ki har shai yahan sanwar jae
tumhaari ruh meri ruh mein utar jae
wo ek KHayal jo thoDa malal jaisa hai
tere qarib se guzre agar nikhar jae
dahak raha hai jo mujh mein alaw barson se
zara sa aankh mein bhar le koi to mar jae
zamane-bhar se wo begana ho hi jaega
koi hayat ki manind jab mukar jae
wo ek KHwab jise gungunata rahta hun
kabhi to aa ke meri aankh mein Thahar jae
phir us ke baad main sochunga apne hone ka
jo darmiyan hai lamha zara nithar jae
kabhi hamid bulae kabhi use 'sajid'
akela chand batao kidhar kidhar jae
Ghazal
Main chahta hun ki har shai yahan sanwar jae
Sajid Hameed