main bunda-bandi ke darmiyan apne ghar ki chhat par khaDa raha hun
charagh tha koi jis ke ham-rah raat-bhar bhigta raha hun
ye ab khula hai ki un mein mere nasib ki duriyan chhupi thin
main us ke hathon ki jin lakiron ko muddaton chumta raha hun
main sun chuka hun hawaon aur baadalon mein jo mashware hue hain
jo barishen ab ke hone wali hain un ke qisse suna raha hun
us ek viran peD par ab kai parindon ke ghonsle hain
jo pichhle mausam mein likh gaya tha wo nam main DhunDta raha hun
safar ki lazzat se baDh ke manzil ka qurb to mo'tabar nahin hai
wo mil gaya aur main abhi tak gali gali KHak uDa raha hun
Ghazal
Main bunda-bandi ke darmiyan apne ghar ki chhat par khaDa raha hun
Jamal Ehsani