main bhi ai kash kabhi mauj-e-saba ho jaun
is tawaqqo pe ki KHud se bhi juda ho jaun
abr uTThe to simaT jaun teri aankhon mein
dhup nikle to tere sar ki rida ho jaun
aaj ki raat ujale mere ham-saya hain
aaj ki raat jo so lun to naya ho jaun
ab yahi soch liya dil mein ki manzil ke baghair
ghar palaT aaun to main aabla-pa ho jaun
phul ki tarah mahakta hun teri yaad ke sath
ye alag baat ki main tujh se KHafa ho jaun
jis ke kuche mein baraste rahe patthar mujh par
us ke hathon ke liye rang-e-hina ho jaun
aarzu ye hai ki taqdis-e-hunar ki KHatir
tere honTon pe rahun hamd-o-sana ho jaun
marhala apni parastish ka ho darpesh to main
apne hi samne mail-ba-dua ho jaun
tisha-e-waqt batae ki taaruf ke liye
kin pahaDon ki bulandi pe khaDa ho jaun
hae wo log ki main jin ka pujari hun 'nasir'
hae wo log ki main jin ka KHuda ho jaun
Ghazal
Main bhi ai kash kabhi mauj-e-saba ho jaun
Naseer Turabi