main bhi aawara hun tere sat aawara hawa 
la tu mere hath mein de hat aawara hawa 
jangali phulon ki KHushbu raqs sarshaari shabab 
nazr kar mujh ko bhi kuchh saughat aawara hua 
ek sarshaari hai jism o ruh par chhai hui 
reza reza aasman barsat aawara hawa 
us KHarabe mein bhi ek jannat bana li hai jahan 
ek main hun ek KHuda ki zat aawara hawa 
yaad aata hai kapasi baadalon ka saeban 
jagmagate manzaron ki raat aawara hawa 
be-panahi zehn ki qindil-e-danish bhi siyah 
ru-ba-ru hadd-e-nazar zulmat aawara hawa 
dil ke darwaze se lag kar chup khaDa rahta hai gham 
kis se kahiye apne ji ki baat aawara hawa 
sar-kashi zinda rahe lekin 'mujibi' soch le 
ek musht-e-KHak ki auqat aawara hawa
        Ghazal
Main bhi aawara hun tere sat aawara hawa
Siddique Mujibi

