اردو हिंदी
Main band aankhon se kab talak ye ghubar dekhun | Shaahi Shayari
main band aankhon se kab talak ye ghubar dekhun

Ghazal

Main band aankhon se kab talak ye ghubar dekhun

Ahmad Mahfuz

;

main band aankhon se kab talak ye ghubar dekhun
koi to manzar siyah dariya ke par dekhun

kabhi wo aalam ki us taraf aankh hi na uTThe
kabhi ye haalat ki us ko diwana-war dekhun

ye kaisa KHun hai ki bah raha hai na jam raha hai
ye rang dekhun ki dil jigar ka fishaar dekhun

ye sari be-manzari sawad-e-sukut se hai
sada wo chamke to dhund ke aar-par dekhun

tere siwa bhi hazar manzar hain dekhne ko
tujhe na dekhun to kyun tera intizar dekhun