main bahaaron ke rup mein gum tha
jab tujhe mujh se kuchh tabassum tha
tha wo apne hi KHauf ka mahkum
jis ki aawaz mein tahakkum tha
wasl tera raha na raaz ki subh
dar-o-diwar par tabassum tha
mere sheron mein Dhal saka na kabhi
jo meri ruh mein tarannum tha
main payambar na tha magar mujh se
mah-o-KHurshid ko takallum tha
sab bahane the kucha-gardi ke
kaun teri talash mein gum tha
mera sahil na ban saka 'sahba'
meri fitrat mein jo talatum tha

Ghazal
Main bahaaron ke rup mein gum tha
Sahba Akhtar