main apni sochon mein ek dariya bana raha tha
jo TuTi phuTi si kashtiyon ko chala raha tha
tumhaare jaane ke baad bilkul hansa nahin main
shikasta-pa ho ke apne andar ko kha raha tha
wo band kamre mein meri yaaden piro rahi thi
main bazm-e-imkan se KHwab jis ke uTha raha tha
meri nigah mein ye ek manzar ruka hua hai
ki ek sahra tha aur dariya bana raha tha
wo tere aane ki thi KHushi ki 'atiq-ahmad'
jo ghar mein qaidi the sab parinde uDa raha tha
Ghazal
Main apni sochon mein ek dariya bana raha tha
Ateeq Ahmad