main apni KHak ko jab aaina banata hun
to is ke waste dil bhi naya banata hun
har ek parind rahe ta-abad yahan shadab
isi liye main shajar bhi hara banata hun
bhaTak na jae kahin shahr-e-gham mein apna dil
so tere KHwab ko main rahnuma banata hun
kare na kyun ye tere dil mein ghar mere hamdam
main apne sher ko dard-ashna banata hun
main pahle bharta hun us dil mein wahshaten aur phir
sawad-e-dasht ko bhi ham-nawa banata hun
wo faelat-o-mafail ke nahin bas mein
main apne sher mein jo zawiya banata hun
talash karti hain KHud manzilen jise 'ahmad'
main dasht-e-shauq mein wo rasta banata hun
Ghazal
Main apni KHak ko jab aaina banata hun
Ateeq Ahmad