main apni aankh ko us ka jahan de dun kya
zamin khinch lun aur aasman de dun kya
main duniya zad nahin hun mujhe nahin manzur
makan le ke tumhein la-makan de dun kya
ki ek roz khula rah gaya tha aaina
agar gawah banun to bayan de dun kya
uDe kuchh aise ki mera nishan tak na rahe
main apni KHak ko itni uDan de dun kya
ye lag raha hai ki na-KHush ho dosti mein tum
tumhaare hath mein tir o kaman de dun kya
samajh nahin rahe be-rang aansuon ka kaha
unhen main surKH-lahu ki zaban de dun kya
suna hai zindagi koi tah-e-samundar hai
bhanwar ke hath mein ye baadban de dun kya
ye faisla mujhe karna hai ThanDe dil se 'raza'
nahin badalta zamana to jaan de dun kya

Ghazal
Main apni aankh ko us ka jahan de dun kya
Rafi Raza