main apni aankh bhi KHwabon se dho nahin paya
main kaise dunga zamane ko jo nahin paya
shab-e-firaq thi mausam ajib tha dil ka
main apne samne baiTha tha ro nahin paya
meri KHata hai ki main KHwahishon ke jangal mein
koi sitara koi chand bo nahin paya
hasin phulon se diwar-o-dar sajae the
bas ek barg-e-dil aasa piro nahin paya
chamak rahe the andhere mein soch ke jugnu
main apni yaad ke KHeme mein so nahin paya
nahin hai harf-e-tasalli magar kahun 'sahil'
nahin jo paya kahin yar to nahin paya
Ghazal
Main apni aankh bhi KHwabon se dho nahin paya
KHalid Malik u0027Sahilu0027