اردو हिंदी
Main apne waqt mein apni rida mein rahta hun | Shaahi Shayari
main apne waqt mein apni rida mein rahta hun

Ghazal

Main apne waqt mein apni rida mein rahta hun

Ali Akbar Abbas

;

main apne waqt mein apni rida mein rahta hun
aur apne KHwab ki aab-o-hawa mein rahta hun

kabhi zamin kabhi sair-gah-e-mah-o-nujum
kabhi main aks-e-nazar-ashna mein rahta hun

samaaton par utarta hun misl-e-saut-e-yaqin
dilon ke wahima-e-barmala mein rahta hun

main uDti gard hun ahl-e-hunar ke teshe ki
aur ahl-e-dard ki bhi KHak-e-pa mein rahta hun

main ek faqir-e-KHuda-mast barsar-e-duniya
jamal-e-yar ki hairat-sara mein rahta hun