اردو हिंदी
Main apne waste rasta naya nikalta hun | Shaahi Shayari
main apne waste rasta naya nikalta hun

Ghazal

Main apne waste rasta naya nikalta hun

Aftab Iqbal Shamim

;

main apne waste rasta naya nikalta hun
dalil-e-sher mein thoDa sa kashf Dalta hun

bahut sataya hua hun laim duniya ka
saKHi hun dil ki purani KHalish nikalta hun

zamana kya hai kabhi man ki mauj mein aaun
to nok-e-naqsh pe apni use uchhaalta hun

ye mera kunj-e-makan mera qasr-e-ali hai
main apna sikka-e-raej yahin pe Dhaalta hun

meri ghazal mein zan-o-mard jaise baham hon
ise jalalta hun phir ise jamalta hun

zara paDhen to meri iKHtiyar mein na rahen
ye naunihaal jinhen mushkilon se palta hun