main apne shahr mein apna hi chehra kho baiTha
ye waqia jo sunaya to wo bhi ro baiTha
tumhaari aas mein aankhon ko main bhigo baiTha
ki dil mein yas ke kanTe kai chubho baiTha
mata-e-haal na mazi ka koi sarmaya
nadi mein waqt ki har chiz ko Dubo baiTha
sunahre waqt ki tahriren jin mein thin mahfuz
main un sahifon ko ashkon se apne dho baiTha
main sunta rahta tha jis aaine ki sargoshi
wo shahr-e-sang mein apni jila bhi kho baiTha
kisi babul ke sae tale mili jo aman
to apne panw mein kanTe bhi main chubho baiTha
wahi raha hai bahar-taur shadman 'nayyar'
jo apne gham mein gham-e-digaran samo baiTha
Ghazal
Main apne shahr mein apna hi chehra kho baiTha
Azhar Naiyyar