main apne sae se suraj kha sakta hun
lekin kya main aur ek suraj la sakta hun
bas ek waqt ki Dori hath mere aa jae
barson aage sadiyon pichhe ja sakta hun
chand to ek qirtas hai mere fan ki KHatir
jo bhi chahun us par naqsh bana sakta hun
jhuT kabhi hote honge aise dawe par
aaj main sach-much tare toD ke la sakta hun
yunhi nahin kahta hai chand mera ham-saya
ek diwar phalang ke us par ja sakta hun
tu apne dil ki dhaDkan kaghaz par likh de
tujh ko is mein apna-ap dikha sakta hun
main ne to sab ragon ki shaklen dekhi hain
tujh ko dekh ke bhi ek rag mein ga sakta hun
main ne danista KHud ko gum kar rakkha hai
jab bhi chahun apna khoj laga sakta hun
Ghazal
Main apne sae se suraj kha sakta hun
Qazi Ejaz Mehwar