اردو हिंदी
Main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main | Shaahi Shayari
main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main

Ghazal

Main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main

Khushbir Singh Shaad

;

main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main
na jaane aks hun chehra hun ya phir aaina hun main

meri majburiyan dekho ki yakjai ke paikar mein
kisi bikhre hue ehsas mein simTa hua hun main

mere andar ke mausam hi mujhe tamir karte hain
kabhi sairab hota hun kabhi sahra-numa hun main

jo hai wo kyun hai aaKHir jo nahin hai kyun nahin hai wo
isi gutthi ko suljhane hi mein uljha hua hun main

ye baat ab kaise samjhaun main in masum jharnon ko
guzar kar kin marahil se samundar se mila hun main

tabhi to 'shad' main hun mo'tabar apni nigahon mein
manazir ko baDi sanjidgi se sochta hun main