main apne panw baDhaun magar kahan aage
zamin KHatm hui ab hai aasman aage
har ek moD pe main puchhta hun us ka pata
har ek shaKHs ye kahta hai bas wahan aage
bichhaDte jate hain ahbab KHwab ki surat
guzarta jata hai yaadon ka karwan aage
bas agle moD talak hi ye saf manzar hai
phir us ke baad wahi be-karan dhuan aage
Ghazal
Main apne panw baDhaun magar kahan aage
Qamar Siddiqi