اردو हिंदी
Main apne iKHtiyar mein hun bhi nahin bhi hun | Shaahi Shayari
main apne iKHtiyar mein hun bhi nahin bhi hun

Ghazal

Main apne iKHtiyar mein hun bhi nahin bhi hun

Nida Fazli

;

main apne iKHtiyar mein hun bhi nahin bhi hun
duniya ke karobar mein hun bhi nahin bhi hun

teri hi justuju mein laga hai kabhi kabhi
main tere intizar mein hun bhi nahin bhi hun

fihrist marne walon ki qatil ke pas hai
main apne hi mazar mein hun bhi nahin bhi hun

auron ke sath aisa koi masala nahin
ek main hi is dayar mein hun bhi nahin bhi hun

mujh se hi hai har ek siyasat ka e'tibar
phir bhi kisi shumar mein hun bhi nahin bhi hun