main apne hisse ki tanhai mahfil se nikalunga
jo la-hasil zaruri hai to hasil se nikalunga
mere KHun se zyaada tu meri miTTi mein shamil hai
tujhe dil se nikalunga to kis dil se nikalunga
mujhe malum hai ek chor darwaza aqab mein hai
magar is bar main rasta muqabil se nikalunga
shabihon ki tarah qabren mujhe aawaz deti hain
main aks-e-raftgan aaina-e-gul se nikalunga
hujum-e-sahl-angaran mere hamrah chalta hai
main jaise rah-e-asan rah-e-mushkil se nikalunga
bharam sab khol ke rakh dunga masnui mohabbat ke
koi taza fasana dasht-o-mahmil se nikalunga
tumhein ab tairna KHud sikh lena chahiye 'shahid'
tumhein kab tak main girdab-e-masael se nikalunga
Ghazal
Main apne hisse ki tanhai mahfil se nikalunga
Shahid Zaki