اردو हिंदी
Main apne haal-e-zar ka aaina-dar hun | Shaahi Shayari
main apne haal-e-zar ka aaina-dar hun

Ghazal

Main apne haal-e-zar ka aaina-dar hun

Imran Saghar

;

main apne haal-e-zar ka aaina-dar hun
jaise kisi gharib ka ujDa mazar hun

kyun tanz aap karte hain mere gunah par
ye main ne kab kaha hai ki parhez-gar hun

yarab meri tarah se koi aur bhi hai kya
ya sirf ek main hi yahan sangsar hun

jo dil ki baat thi wahi lafzon mein Dhaal di
duniya samajh rahi hai ki taKHliq-kar hun

socha tha tujh ko pa ke milega mujhe qarar
tu mil gaya to aur bhi main be-qarar hun

naz-o-niam se pal ke jis ko jawan kiya
afsos aaj main usi beTe pe bar hun