main apne aap ko pahchan hi nahin paya
isi liye main tujhe jaan hi nahin paya
ye dekh kar wo pareshan hai teri mahfil mein
kisi ko us ne pareshan hi nahin paya
abhi se tujh ko paDi hai visal ki meri jaan
abhi to hijr ne unwan hi nahin paya
wo ek lamha meri zindagi pe tari hai
jo ek lamha abhi aan hi nahin paya
KHushi KHushi teri duniya ko chhoD aae hum
KHushi ka jab koi saman hi nahin paya
jawaz mil na saka mujh ko apne hone ka
so apne aap ko insan hi nahin paya
ajib hijr kiya hum ne hijr mein 'momin'
visal-e-yar ka arman hi nahin paya
Ghazal
Main apne aapko pahchan hi nahin paya
abdurrahman momin

