main aks-gar-e-jalwa-e-jaanana bana hun
KHush hun ki mohabbat ka jilau-KHana bana hun
dil-soz nahin ahl-e-chaman aatish-e-gul se
ai baad-e-saba main yunhi diwana bana hun
maKHfi koi diwar hai shayad mere andar
main apnon mein rahte hue begana bana hun
raushan harm-e-jaan mein hai ek sham-e-tamanna
dil pahle jalaya hai to parwana bana hun
lazim tha ki duniya ko har ek rang mein dekhun
diwana bana hun kabhi farzana bana hun
kyun mera nasheman hai samundar ki tahon mein
aisa to nahin hai ki main dariya na bana hun
shohrat meri rahe thi jahan dida-wari ki
is kar-gah-e-shauq mein afsana bana hun
Ghazal
Main aks-gar-e-jalwa-e-jaanana bana hun
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi