اردو हिंदी
Main akela hun yahan mere siwa koi nahin | Shaahi Shayari
main akela hun yahan mere siwa koi nahin

Ghazal

Main akela hun yahan mere siwa koi nahin

Shahzad Ahmad

;

main akela hun yahan mere siwa koi nahin
chal raha hun aur mera naqsh-e-pa koi nahin

zehn ke tarik goshon se uThi thi ek sada
main ne puchha kaun hai us ne kaha koi nahin

dekh kar har ek shai ka faisla karte hain log
aankh ki putli mein kya hai dekhta koi nahin

kis ko pahchanun ki har pahchan mushkil ho gai
KHud-numa sab log hain aur runuma koi nahin

naqsh-e-hairat ban gai duniya sitaron ki tarah
sab ki sab aankhen khuli hain jagta koi nahin

ghar mein ye manus si KHushbu kahan se aa gai
is KHarabe mein agar aaya gaya koi nahin

paikar-e-gul aasmanon ke liye betab hai
KHak kahti hai ki mujh sa dusra koi nahin

umr bhar ki talKHiyan de kar wo ruKHsat ho gaya
aaj ke din ke siwa roz-e-jaza koi nahin