اردو हिंदी
Main agar wo hun jo hona chahiye | Shaahi Shayari
main agar wo hun jo hona chahiye

Ghazal

Main agar wo hun jo hona chahiye

Ismail Merathi

;

main agar wo hun jo hona chahiye
main hi main hun phir mujhe kya chahiye

gharq-e-KHum hona mayassar ho to bas
chahiye saghar na mina chahiye

munhasir marne pe hai fatah-o-shikast
khel mardana hai khela chahiye

be-takalluf phir to khewa par hai
maujzan qatra mein dariya chahiye

tez ghairon par na kar tegh-o-tabar
aap apne se mubarra chahiye

ho dam-e-arz-e-tajalli pash pash
sina misl-e-tur-e-sina chahiye

husn ki kya ibtida kya intiha
shefta bhi be-sar-o-pa chahiye

parsa ban gar nahin rindon mein bar
kuchh to bekari mein karna chahiye

kufr hai saqi pe KHissat ka guman
tishna sargarm-e-taqaza chahiye