اردو हिंदी
Main agar rone lagun rutba-e-wala baDh jae | Shaahi Shayari
main agar rone lagun rutba-e-wala baDh jae

Ghazal

Main agar rone lagun rutba-e-wala baDh jae

Mirza Raza Barq

;

main agar rone lagun rutba-e-wala baDh jae
pani dene se nihaal-e-qad-e-baala baDh jae

josh-e-wahshat yahi kahta hai nihayat kam hai
do jahan se bhi agar wusat-e-sahra baDh jae

qumriyan dekh ke gulzar mein dhoka khaen
tauq minnat ka jo ai sarw-e-tamanna baDh jae

hath par hath agar mar ke dauDun baham
rah-e-ulfat mein qadam qais se mera baDh jae

dagh par dagh se ai 'barq' mujhe rahat hai
dard kam ho to shab-e-hijr mein iza baDh jae