main agar aaine banata hun
jauhar-e-KHak se banata hun
tum kisi ek se chale aana
main kai raste banata hun
baat kya hai khule bas itna hi
main kahan masale banata hun
kis ki duri ka KHauf hai mujh ko
KHwab mein daere banata hun
main ki apni isi KHamoshi se
baat ke silsile banata hun
zaKHm deti hai tirgi aur main
raushni zaKHm se banata hun
main jo KHud ko bana nahin paya
ab tere waste banata hun

Ghazal
Main agar aaine banata hun
Khalid Mahmood Zaki