main abhi ek bund hun pahle karo dariya mujhe
phir agar chaho karo wabasta-e-sahra mujhe
phailta hi ja raha tha main KHamoshi ki tarah
qulzum-e-awaz ne har samt se ghera mujhe
mere hone ya na hone se use matlab na tha
tere hone ka tamasha hi lagi duniya mujhe
log kahte hain kisi manzar ka main bhi rang tha
tu ne ai chashm-e-falak uDte hue dekha mujhe
aashna us par ke manzar nahin mujh se magar
jaanta hai dhund ki diwar ka saya mujhe
main ki sannaTon ka mubham istiara tha koi
dastan hota zamana shauq se sunta mujhe
shukr hai main ek sada tha tair-e-mani na tha
warna wo to zer-e-dam-e-harf hi rakhta mujhe
main hi main hun aur badan ke ghaar mein koi nahin
kar diya tanha sagan-e-dahr ne kitna mujhe
Ghazal
Main abhi ek bund hun pahle karo dariya mujhe
Rafiq Raaz

