main ab ukta gaya hun furqaton se
nikalun kis tarah tujh ko ragon se
judai tak mein baiThi hui thi
mohabbat kar rahe the mashwaron se
tujhe main ne mujhe tu ne ganwaya
magar ab faeda in tazkaron se
duaen ho gain na rad tumhaari
main qail hi nahin hun falsafon se
mere sab hausle mare gae hain
tumhaari kam-sini ke faislon se
tumhaari yaad KHuni hai meri bhi
laDen hum kis tarah in bheDiyon se
wo wahshat hai ki hai wo sog barpa
main hansta tak nahin hun qahqahon se
tumhaare gham ki jaan ko aa gae hain
nahin shayad magar han kuchh dinon se
hamare beach ek diwar hai ab
ise uncha karenge nafraton se
Ghazal
Main ab ukta gaya hun furqaton se
Arif Ishtiaque