اردو हिंदी
Main aasman pe bahut der rah nahin sakta | Shaahi Shayari
main aasman pe bahut der rah nahin sakta

Ghazal

Main aasman pe bahut der rah nahin sakta

Waseem Barelvi

;

main aasman pe bahut der rah nahin sakta
magar ye baat zamin se to kah nahin sakta

kisi ke chehre ko kab tak nigah mein rakkhun
safar mein ek hi manzar to rah nahin sakta

ye aazmane ki fursat tujhe kabhi mil jae
main aankhon aankhon mein kya baat kah nahin sakta

sahaara lena hi paDta hai mujh ko dariya ka
main ek qatra hun tanha to bah nahin sakta

laga ke dekh le jo bhi hisab aata ho
mujhe ghaTa ke wo ginti mein rah nahin sakta

ye chand lamhon ki be-iKHtiyariyan hain 'wasim'
gunah se rishta bahut der rah nahin sakta