main aashiqi mein tab sun afsana ho raha hun
teri nigah ka jab sun diwana ho raha hun
ai aashna karam sun yak bar aa daras de
tujh baj sab jahan sun begana ho raha hun
baatan lagan ki mat puchh ai sham-e-bazm-e-KHubi
muddat se tujh jhalak ka parwana ho raha hun
shayad wo ganj-e-KHubi aawe kisi taraf sun
is waste sarapa virana ho raha hun
sauda-e-zulf-e-KHuban rakhta hun dil mein daim
zanjir-e-ashiqi ka diwana ho raha hun
barja hai gar sunun nain naseh teri nasihat
main jam-e-ishq pi kar mastana ho raha hun
kis sun 'wali' apas ka ahwal ja kahun main
sar-ta-qadam main gham sun gham-KHana ho raha hun

Ghazal
Main aashiqi mein tab sun afsana ho raha hun
Wali Mohammad Wali