اردو हिंदी
Main aalam-e-imkan mein jise DhunDh raha hun | Shaahi Shayari
main aalam-e-imkan mein jise DhunDh raha hun

Ghazal

Main aalam-e-imkan mein jise DhunDh raha hun

Arsh Siddiqui

;

main aalam-e-imkan mein jise DhunDh raha hun
wo puchh raha hai ki kise DhunDh raha hun

mazi ke bayaban mein jo gum ho gaya mujh se
main haal ke jangal mein use DhunDh raha hun

go pesh-e-nazar ek tamasha hai wa-lekin
ai wajh-e-tamasha main tujhe DhunDh raha hun

tu hath jo aata nahin is ka hai sabab kya
shayad main tujhe tujh se pare DhunDh raha hun

chhina tha jise subh-e-gurezan ki chamak ne
us lamhe ko ab sham Dhale DhunDh raha hun

har ek se jo kahta hon kahin 'arsh' ko DhunDo
kyun apne bahane main use DhunDh raha hun