main aa raha tha sitaron pe panw dharte hue
badan utar diya KHak se guzarte hue
jamal mujh pe ye ek din mein to nahin aaya
hazar aaine TuTe mere sanwarte hue
ajab nazar se charaghon ki samt dekha hai
hawa ne zina-e-pindar se utarte hue
ik-adh jam to pi hi liya tha hum ne bhi
KHumar-e-KHana-e-duniya ki sair karte hue
na jaane kya dil-e-sayyaad mein KHayal aaya
wo ro diya tha mere baal-o-par katarte hue
ab aasman bhi kam paD rahe hain us ke liye
qadam zamin par rakkha tha jis ne Darte hue
wahi sitara sitaron ka hukmaran Thahra
laraz raha tha jo pahli zaqand bharte hue
wo aaina tha main tariq-'naim' TuT ke bhi
hazar aks banata gaya bikharte hue
Ghazal
Main aa raha tha sitaron pe panw dharte hue
Tariq Naeem