maiKHane pe chhai hai afsurda-shabi kab se
saghar se gurezan hai KHud tishna-labi kab se
ai saya-e-gesu ke diwano batao to
mear-e-junun Thahri rahat-talabi kab se
chusa hai lahu jis ne barson mah-o-anjum ka
insan ka muqaddar hai wo tira-shabi kab se
ek hashr sa barpa hai zindan se bayaban tak
paband-e-salasil hai iza-talabi kab se
jis ke liye saz apna sar phoDte phirte hain
naghmon ki wo daulat hai sine mein dabi kab se
jo dar-o-rasan ko bhi KHatir mein nahin lati
tazir ke qabil hai wo be-adabi kab se
fursat gham-e-dauran se milti hi nahin 'arshad'
dil mein liye phirte hain mauj-e-inabi kab se
Ghazal
MaiKHane pe chhai hai afsurda-shabi kab se
Arshad Siddiqui