mai rahe mina rahe gardish mein paimana rahe
mere saqi tu rahe aabaad mai-KHana rahe
hashr bhi to ho chuka ruKH se nahin miTti naqab
had bhi aaKHir kuchh hai kab tak koi diwana rahe
kuchh nahin hum dil-jalon ki be-qarari kuchh nahin
teri mahfil wo hai jis mein sham-e-parwana rahe
gore hathon mein bane chauDi KHat-e-saghar ka aks
tere dast-e-naz mein nazuk sa paimana rahe
kam se kam itna asar ho jo sune aa jae nind
bekason ki maut ka honThon par afsana rahe
raat jo ja baiThte hain rose hum majnun ke pas
pahle an-ban rah chuki hai ab to yarana rahe
hashr ho tum sharm ke putle na banna hashr mein
chaal iThlai hui andaz mastana rahe
tab us ki la nahin sakte kabhi nazuk dimagh
bar sar hai dur sar se taj shahana rahe
un ke kahne se kabhi yun kah liye do-chaar sher
raat-din fikr-e-suKHan mein koi diwana rahe
un buton ke chalte hum ne dil ko patthar kar liya
but rahe koi na yarab koi but-KHana rahe
tur par aa main na mere samne yunhi sahi
han zara tarz-e-takallum be-hijabana rahe
zindagi ka lutf hai uDti rahe har-dam 'riyaz'
hum hon shishe ki pari ho ghar pari-KHana rahe
Ghazal
Mai rahe mina rahe gardish mein paimana rahe
Riyaz Khairabadi