mai-KHane mein baDhti gai tafriq-e-nihan aur
shishe ka bayan aur hai saqi ka bayan aur
inkar-e-haqiqat bhi hai ek sair-e-haqiqat
hota hai yaqin aur to baDhta hai guman aur
rangin fazaon mein Tapakne lage aansu
aaya hun gulistan to shabnam hai chakan aur
is darja bhi mayus na dekhi thin bahaaren
duniya mein hain ai dost bahut mulk-e-KHizan aur
har gam 'nushur' aabla-pai ka hai aalam
kuchh dur hai ye qafila-e-dard rawan aur
Ghazal
Mai-KHane mein baDhti gai tafriq-e-nihan aur
Nushur Wahidi

