mai-kashi chhoD di tauhin-e-hunar kar aaya
jam ulTae subu zer-o-zabar kar aaya
jab wo diwar giri thi to ye dar kyun rahta
bas yahi soch ke mismar wo ghar kar aaya
dasht-e-imkan mein tanha main kahan tak jata
jab guman bhi na raha tark safar kar aaya
ek ummid ka aalam hai ki thakta hi nahin
bar-e-ehsan se bhi sarf-e-nazar kar aaya
rah dushwar thi aur is ke taghaful ka yaqin
shukr-e-altaf ki ye marka sar kar aaya
wahshat-e-zist mubarak teri sabit-qadami
dagh bharta raha qatre ko guhar kar aaya
nawak-e-naz teri KHair ki ishq-e-KHush-nud
KHud-numai ke liye KHun-e-jigar kar aaya
mujh se behtar to mera KHwab tha jhuTa hi sahi
tere pahlu mein jo ek raat basar kar aaya
hum samajhte the jise hamdam-o-hamraaz apna
wo hi 'salman' harifon ko KHabar kar aaya
Ghazal
Mai-kashi chhoD di tauhin-e-hunar kar aaya
Salman Ansari