mai-kade mein aaj ek duniya ko izn-e-am tha
daur-e-jam-e-be-KHudi begana-e-ayyam tha
ruh larzan aankh mahw-e-did dil ka nam tha
ishq ka aaghaz bhi shaista-e-anjam tha
rafta rafta ishq ko taswir-e-gham kar hi diya
husn bhi kitna KHarab-e-gardish-e-ayyam tha
gham-kade mein dahr ke yun to andhera tha magar
ishq ka dagh-e-siyah-baKHti charagh-e-sham tha
teri duzdida-nigahi yun to na-mahsus thi
han magar daftar ka daftar husn ka paigham tha
shaq ahl-e-shauq par thin us ki ismat-dariyan
sach hai lekin husn dar-parda bahut bad-nam tha
mahw the gulzar-e-ranga-rang ke naqsh-o-nigar
wahshaten thi dil ke sannaTe the dasht-e-sham tha
be-KHata tha husn har jaur-o-jafa ke baad bhi
ishq ke sar ta-abad ilzam hi ilzam tha
yun gareban-chaak duniya mein nahin hota koi
har khula gulshan shahid-e-gardish-e-ayyam tha
dekh husn-e-sharmagin dar-parda kya laya hai rang
ishq ruswa-e-jahan badnam hi badnam tha
raunaq-e-bazm-e-jahan tha go dil-e-gham-ghin 'firaq'
sard tha afsurda tha mahrum tha nakaam tha
Ghazal
Mai-kade mein aaj ek duniya ko izn-e-am tha
Firaq Gorakhpuri