mai-kada tha chandni thi main na tha
ek mujassam be-KHudi thi main na tha
ishq jab dam toDta tha tum na the
maut jab sar dhun rahi thi main na tha
tur par chheDa tha jis ne aap ko
wo meri diwangi thi main na tha
wo hasin baiTha tha jab mere qarib
lazzat-e-ham-saegi thi main na tha
mai-kade ke moD par rukti hui
muddaton ki tishnagi thi main na tha
thi haqiqat kuchh meri to is qadar
us hasin ki dil-lagi thi main na tha
main aur us ghuncha-dahan ki aarzu
aarzu ki sadgi thi main na tha
jis ne mah-paron ke dil pighla diye
wo to meri shaeri thi main na tha
gesuon ke sae mein aaram-kash
sar-barahna zindagi thi main na tha
dair o kaba mein 'adam' hairat-farosh
do-jahan ki bad-zani thi main na tha
Ghazal
Mai-kada tha chandni thi main na tha
Abdul Hamid Adam