mai-kada-saman thi nazron mein faza kal raat ko
chha rahi thi un ki zulfon ki ghaTa kal raat ko
har-nafas mangi dua-e-KHair iman ke liye
mere pahlu mein tha ek kafir-ada kal raat ko
wo bahaar-afroz aanchal sad gulistan darkinar
wo bahisht-e-arzu rangin-qaba kal raat ko
aaina-bardar KHuld-e-shauq wo lauh-e-jabin
wo charagh-e-tur ru-e-pur-ziya kal raat ko
wo lab-e-jibril ka partaw hasin tarz-e-kalam
qum-be-izni ka hum eajaz-o-ada kal raat ko
uljhe uljhe se wo fiqre khoi khoi guftugu
sadgi mein wo shararat ka maza kal raat ko
hasil-e-sad-mai-kada 'manzur' tha mere liye
be-irada mera un ka samna kal raat ko
Ghazal
Mai-kada-saman thi nazron mein faza kal raat ko
Malikzada Manzoor Ahmad