mai ka ye ehtiram are tauba
aur phir wo haram are tauba
dil ko sarmast kar hi deti hai
yaad-e-saqi-o-jam are tauba
allah allah kar are zahid
jam-e-mai subh-o-sham are tauba
but-parasti mein jis ki umr kaTi
aise kafir ka nam are tauba
ek be-jaan ke qatl karne ko
is qadar ehtimam are tauba
gham-zadon ki ye KHamushi hai ghazab
sabr ka intiqam are tauba
aaj bhule se le liya kis ne
'shauq'-e-ruswa ka nam are tauba
Ghazal
Mai ka ye ehtiram are tauba
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

