mai ho saghar mein ki KHun raat guzar jaegi
dil ko gham ho ki sukun raat guzar jaegi
dekhna ye hai ki andaz-e-sahar kya honge
yun to arbab-e-junun raat guzar jaegi
na ruka hai na ruke qafila-e-lail-o-nahaar
raat kam ho ki fuzun raat guzar jaegi
main tera mahram-e-asrar hun ai subh-e-bahaar
ja ke phulon se kahun raat guzar jaegi
muzhda-e-subh mubarak tumhein ai dida-waro
main jiyun ya na jiyun raat guzar jaegi
raat bhar main ne sajae sar-e-mizhgan tare
mujh ko tha wahm ki yun raat guzar jaegi
subh uTh kar tujhe rah-rau se lipaTna hoga
rahbar-e-tira-darun raat guzar jaegi
Ghazal
Mai ho saghar mein ki KHun raat guzar jaegi
Syed Aabid Ali Aabid

