mai-e-kausar ka asar chashm-e-siyah-fam mein hai
saqi-e-mast ajab kaif tere jam mein hai
dekhiye faisla-e-yas-o-tamanna kya ho
subh-e-mahshar ki jhalak tirgi-e-sham mein hai
nigah-e-mast ka phir zohd-shikan dur chale
phir Dhale baada-e-sarjosh jo is jam mein hai
chha gae shewa-e-bedad pe dilkash naghme
main qafas mein hun ki sayyaad mere dam mein hai
mutmain KHud hi nahin phir asar-andaz ho kya
pand-e-waiz abhi andesha-e-anjam mein hai
aarzu lutf talab ishq sarasar nakaam
mubtala zindagi-e-dil inhin auham mein hai
Ghazal
Mai-e-kausar ka asar chashm-e-siyah-fam mein hai
Dil Shahjahanpuri