اردو हिंदी
Mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed | Shaahi Shayari
mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed

Ghazal

Mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed

Haidar Ali Aatish

;

mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed
chashm-e-bad-bin ko kare gardish-e-ayyam safed

bas-ki us but ki tabiat hai zamane se KHilaf
subh poshak siyah hai to sar-e-sham safed

kaun si sham nahin subh hui ai maghrur
ek din hoti hai ye zulf-e-siyah-fam safed

qatra-e-ashk mein surKHi ka kahin nam nahin
lahu tera bhi hua ai dil-e-nakaam safed

dil ki taskin ko main paigham safa ka samjhun
purza kaghaz ka jo bheje wo gul-andam safed

chandni raat mein wo mah jo yaad aata hai
kaTne dauDte hain mujh ko dar-o-baam safed

wasl ki shab jo hui subh yakayak to hua
main idhar zard udhar ru-e-dilaram safed

nisbat us fitna-e-dauran se koi andha de
yar ki aankh siyah dida-e-baadam safed

kisi haalat mein nahin fikr se dushman ghafil
aafat-e-murgh hai rangin ho baadam safed

bas hai itni hi zamana ki do-rangi 'atish'
mai-e-gul-rang se labrez rahen jam safed