mai-e-faraghat ka aaKHiri daur chal raha tha
subu kinare visal ka chand Dhal raha tha
wo saz ki lai ki nachta tha lahu ragon mein
wo hiddat-e-mai ki lamha lamha pighal raha tha
faza mein lahra rahe the afsurdagi ke sae
ajab ghaDi thi ki waqt bhi hath mal raha tha
sakun se mahrum thin tarab-gah ki nashisten
ki ek naya iztirab jismon mein chal raha tha
nigahen dawat ki mez se dur kho gai thin
tamam zehnon mein ek saya sa chal raha tha
hawa-e-ghurbat ki lahr anfas mein rawan thi
nae safar ka charagh sinon mein jal raha tha
bhaDak rahi thi dilon mein hasrat ki pyas lekin
wahin nai aarzu ka chashma ubal raha tha
badan pe tari tha KHauf gahre samundaron ka
ragon mein shauq-e-shanawari bhi machal raha tha
na jaane kaisa tha inqalab-e-sahar ka aalam
badal rahi thi nazar ki manzar badal raha tha

Ghazal
Mai-e-faraghat ka aaKHiri daur chal raha tha
Shabbir Shahid