اردو हिंदी
Mahzun na ho huzur ab aata hai yar apna | Shaahi Shayari
mahzun na ho huzur ab aata hai yar apna

Ghazal

Mahzun na ho huzur ab aata hai yar apna

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

;

mahzun na ho 'huzur' ab aata hai yar apna
karta hai fazl tujh par parwardigar apna

jab se gaya wo mah-ru aaghosh se hamari
rahta hai jyun mah-e-nau KHali kanar apna

zulf-o-ruKH-e-sanam ke gham mein sada rahe hum
guzra hamesha yun hi lail-o-nahaar apna

ai be-KHudi-e-mai tu aa dosh par uTha le
uThta nahin mujh se ab bojh-bhaar apna

mahbub hain jahan tak nahin aashna kasu ke
hote nahin hain apne kije hazar apna

kahne se sher ke kuchh hasil nahin magar han
ye hai ki baad apne ho yaadgar apna

aazurda kuchh hain shayad warna 'huzur' mujh se
kyun munh phula raha hai wo gul-ezar apna